Thak Gaye Ho Toh Thoda Ruko, Lekin Kabhi Chhodo Mat

Thak Gaye Ho Toh Thoda Ruko, Lekin Kabhi Chhodo Mat

Kabhi kabhi zindagi mein sab kuch bohot mushkil lagta hai. Aise lagta hai jaise har raasta bandh ho gaya ho, har koshish bekaar ja rahi ho, aur hum andar se thak gaye ho.

Lekin yaad rakhna... thakna galat nahi hai.
Thakna insaani hai.
Lekin chhod dena — yeh wahi waqt hota hai jab sapne toot jaate hain.

Jab tum thako, toh ek kadam peeche le lo.
Thoda sa waqt lo, saans lo, khud se milo.
Lekin us raaste ko mat chhodo jahan tum chalna shuru kiye the.
Kyunki wahi raasta, ek din tumhe tumhara manzil dikhayega.

Har safalta ke peechhe anek haar hoti hai. Har strong insaan ke peeche kabhi ek tuti hui rooh hoti hai.
Tum bhi waise hi ek kahaani ban rahe ho.

Toh agar aaj tum thake ho,
Thoda ruko. Aankhein band karo. Khud ko yaad dilao ki tumne shuruaat kyun ki thi.
Aur phir… wapas chalo. Dheere dheere sahi, lekin chalo.

Kyunki jeet unhi ki hoti hai, jo kabhi chhodte nahi.



Post a Comment

0 Comments